Ek Umar Beet Chali Hai Tujhe Chahte Hue,
Tu Aaj Bhi BeKhabar Hai Kal Ki Tarah.
एक उमर बीत चली है तुझे चाहते हुए,
तू आज भी बेखबर है कल की तरह।
Love Shayari, Tujhe Chahte Huye
Anaa Kehti Hai ilteza Kya Karni,
Woh Mohabbat Hi Kya Jo Minnaton Se Mile.
अना कहती है इल्तेजा क्या करनी,
वो मोहब्बत ही क्या जो मिन्नतों से मिले।
Muqammal Na Sahi Adhoora Hi Rahne Do,
Ye Ishq Hai Koi Maqsad Toh Nahi Hai.
मुकम्मल ना सही अधूरा ही रहने दो,
ये इश्क़ है कोई मक़सद तो नहीं है।
Advertisement

Shayari about Love, Chahat Hui Kisi Se

Shayari about Cute Feelings of Love
Chahat Hui Kisi Se Toh Fir Be-Inteha Hui,
Chaha Toh Chahaton Ki Hadd Se Gujar Gaye,
HumNe Khuda Se Kuchh Bhi Na Manga Magar Usey,
Manga Toh Siskiyon Ki Bhi Hadd Se Gujar Gaye.
चाहत हुई किसी से तो फिर बेइन्तेहाँ हुई,
चाहा तो चाहतों की हद से गुजर गए,
हमने खुदा से कुछ भी न माँगा मगर उसे,
माँगा तो सिसकियों की भी हद से गुजर गये।
Kuchh Khaas JaanNa Hai To Pyar Kar Ke Dekho,
Apni Aankhon Mein Kisi Ko Utaar Kar Ke Dekho,
Chot Unko Lagegi Aansoo Tumhein Aa Jayenge,
Ye Ehsaas JaanNa Hai To Dil Haar Kar Ke Dekho.
कुछ ख़ास जानना है तो प्यार कर के देखो,
अपनी आँखों में किसी को उतार कर के देखो,
चोट उनको लगेगी आँसू तुम्हें आ जायेंगे,
ये एहसास जानना है तो दिल हार कर के देखो।
Advertisement

Love Shayari, Uljhi Rahi Mohabbat

Best Love Shayari in Hindi for Lovers
Na Jahir Hui Tumse Aur Na Hi Bayaan Hui Humse,
Bas Suljhi Hui Aankhon Mein Uljhi Rahi Mohabbat.
न जाहिर हुई तुमसे और न ही बयान हुई हमसे,
बस सुलझी हुई आँखो में उलझी रही मोहब्बत